Saturday 15 March 2014

Uurdu Love Shayeri Urdu Love Poetry Shayari Quotes Poetry in English Shayri SMS Story Poetry for Her poems Poetry Images

Source:- (Google.com.pk)

Uurdu Love Shayeri Definition

Urdu mein ese shura ki kami nahi jo mukhtalif tabqat mein mukhtalif adwar ke doraan maqbool rahe. Koi nojawanon mein, koi khawaten mein aur kisi ko umar rasidah logon ki sanad e pasandedgi mili. Baz fankar maqboliyat aam hasil na kar sake lekin alla elmi o adbi satah rakhne walon mein maqbol howe. Ghalib un shura mein se hain jin ko har tabqe ne sar aankon par bethaya lekin Ghalib ki nudrat aur buland khayali ko bayan karne ke leye ye kafi nahi, kuch aur chaheye wossat mery bayan ke leye, ap yun samajh len ke Ghalib na hote to koi aur hota lekin wo Ghalib na hota.
Daber ul mulk, Najam ud dola, mirza Nosha, Asad ulallah Beig Khan Ghalib 27 December 1797 ko Agrah mein peda howe. 15 February 1869 ko Delhi mein Mirza Ghalib ka inteqal howa. Mirza Ghalib ne bara pur ashob daur dekha jo Saltanat e Mughliya ke zawal e akhir aur angrez ke mukamal tasalut ka zamana tha. Mirz Ghalib ki zati zindagi bhi masaib se pur rahi. Ghalib ki shakhsiyat mushkil dor mein parwan charhi. Mirza Ghalib ki shayari Ghalib ki shakhsiyat se photi hai. Mirza Ghalib ne jis pur ashob daur mein hosh sambhala, us ka pora adrak, mukamal dukh aur insanon par jo biti, us ka bayan un ki shayari mein milta hai. Ghalib ki shakhsiyat bayakwaqat admiyat aur insaniyat ke anasir se malamal thi. Dukhon., shidat e ahsas aur halat ke jabar se mehfoz rehne ka un ka apna tariqa tha aur ye zindagi se farar nahi balke us ka samna karne ke liye tha.
Ghalib ne darasal urdu ko zinda rakha hai. Is zaban mein wo bayan kiya hai jis ki is se qabal nazir nahi milti. Behad sanjidah mehsosat, afkar aur khayalat ko yun bayan karna ke goya ye mere dil mein hai, Ghalib ka kamal hai. Jab hum ajz e bayan ka shirak hote hain to Ghalib ka koi sher humari madad ko ajata hai aur humare dil mka bojh halka kar deta hai. Is ki wajah ye hai ke saqawat apni batni taqat par zindah rahti hai, koi kisi ko majbor nahi kar sakta ke “ye zaban apnao ya ye lebas pheno.” Isi tarah koi ksis ko ye majbor nahi kar sakta ke “falan ko pasand ya napasand karo.” Ye fard ke zauq, us ki zehni satah aur zarorat ka mamla hai. Ghalib aaj bhi is liye pasandedah hain ke wo un mehsosta ko jo hamari giraft mein nahi ate, fankarana aur takhliqi chabuk dasti ke sath bayan kardete hain. Ghalib ki infaradiyat aur sheri azmat ka sabot ye bhi hai ke un ki ungli tham kar kitne log bare shair to ban gaye lekin kisi ko un ki tusi qarar nahi deya ja sakta kyun ke wo apni jagah mukamal shayar hain aur un ka kamal un par khatam ho gaya.
Betasur aur pur tasur tehrir mein farq. Likhne wale ki batnisachai aur jhot hi ka hota hai. Jo shakhs apne jazbe, ahsas, fiqar o khayal mein jitna shaded aur khara ho ga, is ki tehrir o taqrir isi qadar mosar ho gi. Ghalib ki shairi mein esi shidad e ahsas pai jati hai jo marizana nahi, is se qonotiyat ka izhar nahi hotabalke ye fikar aur khayal angez hai. Un ke har sher mein jahan e mani poshidah hota hai. Asal mein takhliq ka matlab hi ye hai ke jo nahi tha is ko banaya jaye.duniya mein koi esa fankar nahi howa jo infiradiyat aur naye pan yani originality ke fuqdan ke bawajod bara ban gaya ho.har fankar ko create ya recreate kana parta hai. Mirza Ghalib ne shayari mein pora slob hi takhliq kar dala.

Urdu Love Poetry Shayari Quotes Poetry in English Shayri SMS Story Poetry for Her poems Poetry Images

No comments:

Post a Comment